Desh Prem-2014



Waqt nikalta hai jaata
Yeh mod nahi aasan
Is desh ki beti hun main
Aur yehi meri shaan

Mera bachpan meri naadaniyan
Hai guzri yahin
Mere dil ke har takalluf
Ka hai marham yahin

Jab tiranga hun dekhti
Toh garv se uth jaati hun
Yahan ke chand ki chandni mein
Bheegti chali jaati hun

Aye desh mere yaar
Tu hai khubsurat bada
Sadiyon se vishv mein
Tera charcha raha

Himalaya ki parvat se
Dakshin ki samudra tak
Sikkim ki vadiyon se
Kacchh ke veeraniyon talak
Vibhinn hai yahan jaatiyan
Aur bhinn bhinn bhaashayein
Duniya ke har kone ko
Hum apne desh mein paayein       

Parmeshwar aur parivaar
Ko maine paaya yahin
Mere dost mere yaar
Tumsa nahi kahin

watan tu naaraz mat ho
Main hun beti teri
Jitna door bhi jaun
Aankhein tujhpe meri

Tere god se uthne ka aa gaya waqt
Tere aanchal se dhoop mein jaungi ab
Teri yaadon ka banake sirhana chali
Dekhte hain ab raahein milein kab

Comments

Popular posts from this blog

Lil Humans

Waiting

Australia