No idea why I wrote this
Chhipkali sameth gaya chhachundar Haathi aaya peeche ek bandar Maindak sawaar hoke saare Circus ghumne gaye bechaare Wahan dekha bheed hazaar Tota macchli sher jiraaf Chamgaadad bhi aaya tha Cheetah ka sandesha laaya tha Dekho dekho shuru hua ab Gadhe aur billi chheekhe sab Circus ka hai baaja baja Aao hum lein bekhoob mazza Yeh aaye pehle kalakaar Kitna sundar hai avtaar Pehla khel maanush parivaar Aao dekhein inka sansaar Ek taraf paisa ek taraf izzat Ajab yeh maaramaari hai Aur bada aur ameer banoge Isiko kehte tayyari hain Hiran hasi aur hasi phir bakri Bail ne saand ka peeth maara Khilkhilaake hansi gilehri Dekhkar yeh manush tamasha Mobile dekhe toh kabhi toh tv Ghadi ghadi ke maalik hain Yeh bhaage idhar yeh bhaage udhar Naukri aur izzat ke ghulam banein Kabhi shikayat kabhi niyantran Apne dil ko chhipaate hain Padosi ki madad karenge Par khud ki madad haanikarak hai Bhaalu bicchoo suar ghoda Dukhi inke chehre the Bole inko bachana hoga ...