No idea why I wrote this



Chhipkali sameth gaya chhachundar
Haathi aaya peeche ek bandar
Maindak sawaar hoke saare
Circus ghumne gaye bechaare

Wahan dekha bheed hazaar
Tota macchli sher jiraaf
Chamgaadad bhi aaya tha
Cheetah ka sandesha laaya tha

Dekho dekho shuru hua ab
Gadhe aur billi chheekhe sab
Circus ka hai baaja baja
Aao hum lein bekhoob mazza

Yeh aaye pehle kalakaar
Kitna sundar hai avtaar
Pehla khel maanush parivaar
Aao dekhein inka sansaar

Ek taraf paisa ek taraf izzat
Ajab yeh maaramaari hai
Aur bada aur ameer banoge
Isiko kehte tayyari hain

Hiran hasi aur hasi phir bakri
Bail ne saand ka peeth maara
Khilkhilaake hansi gilehri
Dekhkar yeh manush tamasha

Mobile dekhe toh kabhi toh tv
Ghadi ghadi ke maalik hain
Yeh bhaage idhar yeh bhaage udhar
Naukri aur izzat ke ghulam banein

Kabhi shikayat kabhi niyantran
Apne dil ko chhipaate hain
Padosi ki madad karenge
Par khud ki madad haanikarak hai

Bhaalu bicchoo suar ghoda
Dukhi inke chehre the
Bole inko bachana hoga
Insaan ko hamari zarurat hai

Jungle mein inko leke jaayenge
Chhutkara ko yeh sab paayenge
Nadi mein nahana, pedon ka khaana
Apne zameer ko vapis khoj laayenge

Kuch kare bina bhi , jeete bina bhi
Tum saans lete ho , tum achche ho
Insaanon mein bhed karne wale
Yeh kaise seh sakte ho

Cheenti boli dekho humko
Ham sab khush baraabar hain
Na koi bada aur na koi chhota
Na aur kisiko manaana hai

Yeh kaisa khel yeh kaisa circus
Bhed boli sab kitne dukhi hain
Sabse pehle lagao inko sui
Yeh behosh hi behtar hain

Comments

Popular posts from this blog

Lil Humans

Waiting

Australia